Ghulam Mustafa Chohan Is raat ki
tanhaiiyon ke,
Sab rang badal
gaye hain.
Chaand nikla hai
waise hi,
Andhere badal
gaye hain.
Jinke bharose
thi khusiyaan,
Wo baadal thehar
gaye hain.
Manzilen to ab
bhi wo hi hain,
Kuchh raaste
badal gaye hain.
Jinpe kiya tha
bharosa hamne,
Wo dost bichhad
gaye hain.
Dekhe the kabhi
jo hamne,
Wo khwaab badal
gaye hain.
Jo bane the
kabhi humsafa
Aaj wo hi mukar
gaye hain.
Is tute hue dil
ke saare,
Zazbaat badal
gaye hain.....
Mon at 3:07 AM